baghair samt hua hun main dar-ba-dar kaisa mujhe bhi khwab dikhai diya magar kaisa khayal khatir-e-abr-e-bahaar kar na sake khizan ne lut liya ab ke ghar ka ghar kaisa na wo huruf mein khushbu na wo sukhan ki mithas badal diya hai zamane ne ham-safar kaisa hum ahal-e-khair nikal aae kis kharabe mein nizam-e-shar mein banaen ab apna ghar kaisa main apne aap hi apna wajud bech aaya mujhe rakha mere apnon ne be-khabar kaisa hum apne ghar mein hain zinda misal shabnam-e-gul bana hai partaw-e-khur ye hisar-e-dar kaisa gaya jo de ke aziyyat-shanasaiyan 'manzar' mila dobara to aaya tumhein nazar kaisa