bujhne lage nazar to phir us par dekhna dariya chadhe to naw ki raftar dekhna is aagahi ke aaina-e-khud-misal mein khud apni zat ko sar-e-paikar dekhna aaankhon se rat-jagon ki hararat nahin gai ai yaad-e-yar tishna-e-azar dekhna honton pe aa ke jam si gai khwahish-e-visal is an-kahi pe lazzat-e-inkar dekhna hum wo wafa-parast tujhe dekhne ke baad apni taraf bhi surat-e-diwar dekhna shakh o samar to munsif o qatil ke ho gae ab kis ke sar pe girti hai talwar dekhna yun hai ki jab bichhadne lagen dil se dhadkanen tab us gali mein subh ke aasar dekhna ab ye dil o nigah ke bas mein nahin raha har aaine mein aks-e-rukh-e-yar dekhna sahil ko mauj le gai aur us ko baadban khawar ab is ke baad na us par dekhna