baghair tere hon mah-o-anjum ki shisha-o-jam bujh gae hain jale the kitne charagh lekin sabhi sar-e-sham bujh gae hain wahi hai qanun-e-jurm-e-ulfat dilon pe qaiden labon pe pahre dilon ke naghmat ruk gae hain labon ke paigham bujh gae hain na us ke rukhsar ki shafaq hai na aarzu ki koi kiran hai sahar ye kaisi sahar hai yaro ki sab dar-o-baam bujh gae hain hua hai viran shahr-e-dil yun ki jaise viran hua ho mandir koi sanam-khana lut gaya hai ki ru-e-asnam bujh gae hain hain dasht-e-ghurbat mein pa-barahna na jaane kitne hi 'mir'-o-'ghaalib' udas mai-khanon ki fazaon mein kitne khayyam bujh gae hain 'payam' maqtul aarzuon ka ek janaza hai zindagi bhi thi jis se har anjuman charaghan wo dil tah-e-dam bujh gae hain