chhut ke ab tujh se ye aalam hai ki rote na bane zinda rahte na bane jaan bhi khote na bane shorish-e-gham bhi nahin shewa-e-arbab-e-wafa ungliyan apne lahu mein bhi dubote na bane ab to har sans pe duniya ka khayal aata hai ab to daman bhi tere gham mein bhigote na bane kashmakash aaj hai wo masti-o-hushyari ki tere gesu ki ghani chhanw mein sote na bane dil ka ye haal ki ab zabt ka yara bhi nahin pas-e-namus-e-mohabbat bhi ki rote na bane baat banti hai kahin ashk-e-nadamat se 'payam' dagh daman ke kisi tarah bhi dhote na bane