baghair tole paron ko udan mat lena zamin walo kabhi aasman mat lena ye baam-o-dar bhi agar jism ke pighal jaen kisi se bhik mein tum saeban mat lena bahut azim hunar hai ye khaksari bhi tum apne sar pe magar khak-dan mat lena bas ab to ponchh lo gard-e-malal chehre se kisi ke zabt ka phir imtihan mat lena jahan pe log bahut ba-shuur hote hain khulus-e-dil ka wahan imtihan mat lena nibah aap agar chahte hain duniya se kahin bhi shart koi darmiyan mat lena jo kah sako to kaho warna chup raho 'asrar' kahin se qarz mein lafz-e-bayan mat lena