ajab nahin kabhi naghma bane fughan meri meri bahaar mein shamil hai ab khizan meri main apne-ap ko auron mein rakh ke dekhta hun kahin fareb na hon dard-mandiyan meri main apni quwwat-e-izhaar ki talash mein hun wo shauq hai ki sambhalti nahin zaban meri yahi sabab hai ki ahwal-e-dil nahin kahta kahun to aur ulajhti hain gutthiyan meri main apne ijz pe nadim nahin hun ham-sukhano hazar-shukr tabiat nahin rawan meri