bagula ban ke nachta hua ye tan guzar gaya hawa mein der tak uda ghubar aur bikhar gaya hamari mitti jaane kaun zarra zarra kar gaya baghair shakl ye wajud chaak par bikhar gaya ye ruh hasrat-e-wajud ki baqa ka nam hai badan na ho saka jo khwab ruh mein thahar gaya ajab si kashmakash tamam umr sath sath thi rakha jo ruh ka bharam to jism mera mar gaya har ek rah us ke waste thi be-qarar aur musafir apni dhun mein manzilon se bhi guzar gaya uda di rakh jism ki khala mein dur dur jab 'alina' aasmani nur ruh mein utar gaya