charagh sham se aakhir jalaen kis ke liye koi na aaega aankhen bichhaen kis ke liye khincha khincha nazar aata hai hum se har aanchal sitare tod ke laen to laen kis ke liye nahin hai koi hamein zindagi ka shauq magar hum apni jaan se jaen to jaen kis ke liye sitam uthane ka maqsad bhi koi hota hai hum aasman se sharten lagaen kis ke liye khilaf hum nahin akhtar-shumariyon ke magar sawal ye hai ki ninden ganwaen kis ke liye wafa ek aag hai bachchon ka koi khel nahin hum apna muft mein daman jalaen kis ke liye sharab hum pe hamesha se hai haram 'alim' pata nahin ye uthi hain ghataen kis ke liye