bagule bahut hain meri ghat mein ghira hun ajab dasht-e-haalat mein kabhi khun se rangin bhi ho chashm-e-tar dhanak bhi nazar aae barsat mein kisi dard ki aanch de kar parakh chamakti hai ek shai meri zat mein lakiron ka har silsila be-karan khule paniyon ka safar hat mein wahi teri aankhon ke hairat-kade wahi main jahan-e-tilismat mein siyah ghar ki bimar zau se nikal zara ghum-phir chandni-raat mein bichha hai kahin zehn mein dam sa phadakta hai koi khayalat mein baja narmi-e-lafz 'shahin' magar liye phir koi sang bhi hat mein