bagule rahnuma hain baad-e-sahrai safar mein hai ruken kaise hamare sath ruswai safar mein hai khabar bhi to nahin hai ab kidhar ko ja rahe hain hum sarabon ka safar hai aabla-pai safar mein hai ye basti hai ki zindan kuchh bhi to palle nahin padta the kab pachhua ke din aur kab se purwai safar mein hai kahan se aain kanon ke liye rim-jhim si aawazen jaras ek lafz-e-parina hai shahnai safar mein hai azal se ta-abad hai kar-farma gardish-e-dauran ki nadani hazar mein aur danai safar mein hai use sadiyan lagengi nind se bedar hone mein abhi aaghaz ka mausam hai angdai safar mein hai koi aahat banati hi nahin ummid ka mausam kuchh aisi chup lagi hai jaise goyai safar mein hai akele-pan ka 'azmi' ho bhi to ehsas kaise ho tasalsul se hamari sham-e-tanhai safar mein hai