ba-zahir rang khushbu raushni yak-jaan hote hain magar ye shahr andar se bahut viran hote hain koi mane na mane guftugu karti hai khamoshi pas-e-diwar-e-hasrat bhi kai tufan hote hain ulajh jaen to suljhane ko ye umren bhi na-kafi taaruf ke agarche silsile aasan hote hain sarabon ki khabar rakhna gharon ko chhodne walo kai ek be-dar-o-diwar bhi zindan hote hain yahan sari ki sari raunaqen reg-e-rawan se hain bagule hi to registan ki pahchan hote hain palat aane ka rasta aur hi koi banata hai musafir sab ke sab anjam se anjaan hote hain to phir aankhon mein sapne ek se kyunkar nahin ugte lakiron ke agar donon taraf insan hote hain safar to chalte rahne ki lagan se shart hai 'azmi' jinhen chalna bahut ho be-sar-o-saman hote hain