bah raha tha ek dariya khwab mein rah gaya main phir bhi tishna khwab mein ji raha hun aur duniya mein magar dekhta hun aur duniya khwab mein is zamin par tu nazar aata nahin bas gaya hai jo sarapa khwab mein roz aata hai mera gham bantne aasman se ek sitara khwab mein muddaton se dil hai us ka muntazir koi wada kar gaya tha khwab mein kya yaqin aa jaega us shakhs ko us ki babat jo bhi dekha khwab mein ek basti hai jahan khush hain sabhi dekh leta hun main kya kya khwab mein asl duniya mein tamashe kam hain kya kyun nazar aae tamasha khwab mein khol kar aankhen pasheman hun bahut kho gaya jo kuchh mila tha khwab mein kya hua hai mujh ko 'alam' in dinon main ghazal kahta nahin tha khwab mein