badan ka ramz samajh ruh ka ishaara samajh

badan ka ramz samajh ruh ka ishaara samajh
mujhe samajh na samajh dukh mera khudara samajh

tujhe hum aur kisi ka na hone denge kabhi
tu bha gaya hai hamein khud ko ab hamara samajh

jo tirgi mein tujhe kuchh dikhai deta nahin
samajh mein aae to is ko bhi ek nazara samajh

nahin to waqt hi samjhaega tujhe ek din
main chahta hun meri baat ko dobara samajh

ki main to apne bhi kuchh kaam aa nahin paya
tujhe ye kis ne kaha tha mujhe sahaara samajh

ye kar-gah-e-tilismat hai yahan 'sayyad'
khasara nafa samajh nafa ko khasara samajh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close