bahaar aai gul-afshaniyon ke din aae uthao saz ghazal-khwaniyon ke din aae nigah-e-shauq ki gustakhiyon ka daur aaya dil-e-kharab ki nadaniyon ke din aae nigah-e-husn kharidariyon pe mail hai mata-e-shauq ki arzaniyon ke din aae mizaj-e-aql ki na-saziyon ka mausam hai junun ki silsila-jambaniyon ke din aae saron ne dawat-e-ashuftagi ka qasd kiya dilon mein dard ki mehmaniyon ke din aae charagh-e-lala-o-gul ki tapak padi hain lawen chaman mein phir sharer-afshaniyon ke din aae bahaar bais-e-jamiyat-e-chaman na hui shamim-e-gul ki pareshaniyon ke din aae udhar chaman mein zar-e-gul luta idhar 'taban' hamari be-sar-o-samaniyon ke din aae