ek zamane mein jab hum tum donon hi joshile the is duniya ke sare mausam thande the barfile the dekhne wale mal-o-zar kya jaan lutaya karte the khadd-o-khal badan ke kitne mahnge the kharchile the samne us ke jate the to mohr-ba-lab rah jate the bahar se hum shokh bahut the andar se sharmile the qismat ka ye khel bhi dekho khel ki jab tak umr rahi kuza-gar ke chaak se utre sare khilaune gile the phul si baaten phul sa lahja phul se lab the phul se gal lekin shakh-e-badan ke sare khar bahut nokile the un aankhon mein sahra ki ab ret chamakti rahti hai un aankhon mein jin aankhon ke khwab bahut chamkile the