bahaar aai hai aaraish-e-chaman ke liye meri bhi taba ko tahrik hai sukhan ke liye khayal tak na kiya ahl-e-anjuman ne kabhi tamam raat jali shama anjuman ke liye watan mein aankh churaate hain hum se ahl-e-watan tadapte rahte hain ghurbat mein hum watan ke liye chaman ke dam se jaenge hum kahan sayyaad qafas fuzul hai parwarda-e-chaman ke liye main qaid-e-ashk se aazad hun mohabbat mein ki tujh ko shama banana hai anjuman ke liye zaban-e-ahl-e-basirat pe arz hairat hai sukut dad hai goya mere sukhan ke liye farogh-e-tab-e-khuda-dad garche tha 'wahshat' riyaz kam na kiya hum ne kasb-e-fan ke liye