bahaar aai to maikhane se nikle bahak nikle ki bahkane se nikle haram tak raushni hi raushni thi hum is aalam mein but-khane se nikle pighal kar bah gai zanjir-e-kaunain wo shoale aaj paimane se nikle nigah-e-mast ne daman na chhoda nikalne ko to maikhane se nikle ajab kya hai ki is zulmat mein ai dost suragh-e-shama parwane se nikle 'rawish' apna dil-e-nadan salamat hazaron kaam diwane se nikle