koi kinaya nahin koi istiara nahin main harf harf magar ab bhi aashkara nahin meri nigah ki wusat pe roz girta hai wo aasman ki jis mein koi sitara nahin nadi bichhad ke samundar se tut jaegi main ek bar kahunga use dobara nahin uchhaalta hun lahu main bhi aasman ki taraf jo mera sar bhi qalam ho to kuchh khasara nahin ye inkishaf hai 'raunaq' ajib teshe ka kisi bhi sang ke sine mein ek sharara nahin