bahaar-e-fikr ke jalwe luta diye hum ne junun-e-ishq ke dariya baha diye hum ne farogh-e-danish-o-burhan ke shoale bhadka kar tawahhumat ke khirman jala diye hum ne gira ke dark-o-basirat ki bijliyan paiham tassubaat ke tukde uda liye hum ne bana ke fikr-o-tadabbur ko khadim-e-insan muqaddaraat ke chhakke chhuda diye hum ne shuur-e-naqd ki sehat-pasandiyon ki qasam aqidaton ke parkhache uda diye hum ne mita ke tafarqa-e-khas-o-am ki lanat huquq-e-khas thikane laga diye hum ne fatadgan-e-zamin ka buland kar ke alam falak-nashinon ke parcham jhuka diye hum ne nae shuur se zehnon mein bijliyan bhar din nai umangon se dil jagmaga diye hum ne guman hayat pe hota hai git ki lai ka kuchh aise git jahan ko suna diye hum ne tilism tod ke jhuti haqiqaton ke tamam ajaibaat ke jadu jaga diye hum ne wara-e-charkh the aabaad jis qadar firdaus zamin ki sath pe la kar basa diye hum ne bana ke mehnat-e-insan ko ek qadr-e-buland zamin pe chand sitare bichha diye hum ne jala ke azmat-e-adam ki sham-e-derina charagh dair-o-haram ke bujha diye hum ne jo dark rakhte hain akhtar wo samjhen aur bataen ye kis sharab ke saghar lundha diye hum ne