charkh ki sai-e-jafa koshish nakara hai gardish-e-dahr yahan jumbish-e-gahwara hai chand taron ke talatum se ye aata hai khayal dil-e-wahshi koi tufan-zada sayyara hai bah gae dida-e-nam-nak se dariya lekin dil wahi ek dahakta hua angara hai dil hua soz-e-jahannam mein giraftar magar ruh ab bhi kisi firdaus mein aawara hai kaisi taqdir ki gardish gham-e-dil ko main ne gardish-e-gumbad-e-aflak pe de mara hai mere sheron se tarruz na kar ai naqid-e-fan meri barbaadi-e-dil hi mera shah-para hai bahjat-e-fikr pe qadir hun main jab tak 'akhtar' mujhe sarmaya-e-andoh bahut pyara hai