bahaar-e-gul se ab daur-e-khizan tak kahan se baat aa pahunchi kahan tak kahan jaenge ab aakhir yahan se jo aa pahunche tumhaare aastan tak dubo dega hamein khud nakhuda hi na tha is ka kabhi wahm-o-guman tak rafu-gar aa ke bhi ab kya siyega nahin daman ki baqi dhajjiyan tak ghazab hai jal gaya dil ka nasheman nahin uttha magar is se dhuan tak pata dete hain kis ki azmaton ka mah-o-anjum se rah-e-kahkashan tak tera 'jaanbaz' ho kar dagmagae bhala dar-o-rasan ke imtihan tak