baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do mujh ko dam bhar ke liye ghair ki qismat de do tum ko ulfat nahin mujh se ye kaha tha main ne hans ke farmate hain tum apni mohabbat de do hum hi chuke sahar-e-wasl manana hi na tha ab hai ye hukm ki jaane ki ijazat de do muft lete bhi nahin pher ke dete bhi nahin yun sahi khair ki dil ki hamein qimat de do kam nahin pir-e-kharabaat-nashin se 'bekhud' mai-kasho to use mai-khane ki khidmat de do