bahaar-e-kaif-agin makhzan-e-alam hoti hai qafas ki subh se behtar chaman ki sham hoti hai guman hota hai maikhane mein jaise gir padi bijli qayamat-khez aawaz-e-shikast-e-jam hoti hai giran hoti hai ai saqi hamari taba-e-rangin par wo mahfil jis mein taqlid-e-mazaq-e-am hoti hai banega aashiyana bhi wahin par hum jahan honge kahin aazadi-e-fitrat asir-e-dam hoti hai ye mana ham-safar 'shair' sanbhal kar panw rakhte hain magar duniya kahin aasuda-e-ilzam hoti hai