gul-e-KHush-numa ke libas mein ki shua-e-nur hain Dhal ke aa

gul-e-khush-numa ke libas mein ki shua-e-nur hain dhal ke aa
tujhe dhundh legi meri nazar tu hazar rang badal ke aa

tere dil ki aag haqiqatan tere haq mein fasl-e-bahaar hai
jo bujhae se bhi na bujh sake usi dil ki aag mein jal ke aa

teri justuju bhi hijab hai teri aarzu bhi hijab hai
kabhi dam-e-aql-o-shuur se jo nikal sake to nikal ke aa

ye hai ahl-e-zarf ki anjuman ye hai ahl-e-ishq ka mai-kada
tu hazar nashsha mein chur ho jo yahan pe aa to sanbhal ke aa

mah-o-mehr mein bhi hai dilkashi magar is ki baat hai aur hi
tujhe aarzu-e-jamal hai tu harim-e-naz mein chal ke aa

ye junun-e-ishq ki shan hai tujhe log kuchh bhi kaha karen
jo ata-e-ku-e-habib hai wahi khak chehre pe mal ke aa

tu hazar parda kiya kare na chhupegi husn ki dilkashi
wo libas-e-kohna pahan ke aa ki naya libas badal ke aa

asar-afrin-e-bahaar hai teri fikr 'shair'-e-khush-nawa
jinhen chhu sake na khizan kabhi wahi phul le ke ghazal ke aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close