bahaar-e-mahfil-e-yaran sajai jati hai hamare hath se ab parsai jati hai andheri raat mein palkon pe dip jalte hain tasawwuraat ki mahfil sajai jati hai chhupa chhupa ke chalo manzaron se aankhon ko ki is tarah bhi nazar ki safai jati hai ye kya jagah hai jahan dagh dagh sinon mein khud apni baat bhi khud se chhupai jati hai har ek subh-e-tamanna ka shahr sajta hai har ek shab nai duniya basai jati hai isi ka nam zamane ne rakh liya aansu ye meri pyas jo aankhon mein aai jati hai har ek zehn mein hota hai rang-e-khak-e-watan zamin ki khushbu zamiron mein pai jati hai bachen to kaise bachen apne sae se 'nashir' badan ki dhup munderon tak aai jati hai