chehron ke khad-o-khal ka manzar nahin dekha tum ne kabhi aainon ke andar nahin dekha phulon ke tabassum pe na itrao nazaro phulon ka kabhi tum ne muqaddar nahin dekha kis tarah se qatil kahun tohmat rakhun un par jin hathon mein main ne kabhi khanjar nahin dekha pani ke tarannum mein to mashur sabhi the girte hue jharne ko samajh kar nahin dekha masum tabassum ne tere tode hain paikan tujh jaisa mujahid ali 'asghar' nahin dekha ai dast-e-talab sar na ana ka kahin jhuk jae main ne kabhi zardaron ko mud kar nahin dekha