bahaar-e-mani-e-rangin hai andaz-e-raqam mera bana hai matla-e-hamd-e-khuda bagh-e-iram mera ajal ke hath se aakhir nikal aaya bharam mera nihan tha andarun-e-parda-e-hasti adam mera nahin musa ki ghash kha kar girunga is tajalli se azal se shaghl hai nazzara-e-husn-e-sanam mera ye wo aatish hai bal dam mein nikale barq-e-sozan ka padi hai sard dozakh dekh kar soz-e-alam mera na girta chah mein un ki to kya kuen jhankate wo tabahi ka meri bais hua hai khud sitam mera niyam-e-tegh se teri jo ye bijli nikalti hai to do do hath uchhalta hai idhar sine mein dam mera falak ki dekh kar raftar-e-pechida ko hairan hun kahan ja kar pahunch karta hai 'mazhar' pech-o-kham mera