zindagi KHwab-e-pareshan thi sahar se pahle

zindagi khwab-e-pareshan thi sahar se pahle
ek uljha hua naghma thi asar se pahle

meri aankhon ki guzargah se aao dil mein
koi guzra nahin is rahguzar se pahle

ek mauhum se ehsas-e-judai ke siwa
pas kuchh bhi to na tha dida-e-tar se pahle

mujh ko pahchan le badli hui haalat pe na ja
main ne dekha hai tujhe apni nazar se pahle

raat pur-nur hai mahaul moattar hai 'munir'
koi guzra hai sar-e-sham idhar se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close