bahaar-e-subh ne gul ko rula ke chhod diya sharab-e-nab ko shabnam bana ke chhod diya koi batae ki is nakhuda ko kya kahiye safina jis ne bhanwar mein phansa ke chhod diya wo sakht-jaan hun ki jab kaamyab ho na saki teri jafa ne mujhe aazma ke chhod diya teri nazar ki bahaar-afriniyon ke nisar ki zakhm-e-dil ko gul-e-tar bana ke chhod diya sitam hai teri jafa-e-wafa-numa ki mujhe jafa-o-jaur ka khugar bana ke chhod diya wahi hai zamzama-paira dilon mein ai 'nayyar' jise nasib ne shair bana ke chhod diya