khaliq ho khuda-e-sahar-o-sham hamara mashhur usi ne ye kiya nam hamara aati hai hawa sard ghata uthti hai ghanghor mangwao surahi-o-mai-o-jam hamara betabi-e-dil un ke bhi dil mein tu asar kar muddat se yahi tujh se hai paigham hamara hum karte hain haj kucha-e-dildar ka apne hai chadar-e-tan jama-e-ahram hamara furqat mein teri sath diya apna isi ne kaam aaya bahut ye dil-e-nakaam hamara kafir kiya mujh ko teri is zulf ne kafir is lam ne khoya tere islam hamara duniya mein bada shor hai shakkar-shikni ka 'shirin' jo takhallus mein hua nam hamara