bahaaren kab labon ko kholti hain badi hasrat se kaliyan dekhti hain bhale khamosh hain ye lab tumhaare magar aankhen bahut kuchh bolti hain amir-e-shahr ka qabza hai lekin gharibon ki diwaren tutti hain samundar ko kahan khushki ka dar hai wo nadiyan hain jo aksar sukhti hain na jaane kab hata den zulf apni unhen ek tak ye aankhen dekhti hain 'raza' hai rab ka ye ehsan mujh par jo khushiyan mere ghar mein khelti hain