bahaaron ki tarah dar bolta hai koi aa jae to ghar bolta hai kabhi deta hai nama-bar bhi dastak kabhi chhat par kabutar bolta hai ye dariya ped-paude aur jharne har ek wadi ka manzar bolta hai tarasha hai use main ne hunar se mere hathon ka patthar bolta hai adab wale sukhan kahte hain us ko ye jadu sar pe chadh kar bolta hai tapaya hai bahut mehnat se us ko ye sona bhi nikhar kar bolta hai jahan se hath khali jaenge sab ye ek jumla sikandar bolta hai sifarish ka bharosa bhi nahin hai magar paisa barabar bolta hai 'nazir-e-merthi' ho baat kadwi to gunga bhi palat kar bolta hai