nazdik si shai saya-e-hail se bahut dur manzil hai shanasai-e-manzil se bahut dur dushwar sahi dur nahin nukta-rasi se lekin hai ghalat-rasmi-e-rahil se bahut dur ye ain khudi ishq ke aasar mein hai gham pahlu se hai kam dur muqabil se bahut dur har sahal-talab se to hai bargashta-badih har sail-e-kaamil ke bhi hasil se bahut dur qurbaniyan kuchh rakh de giro aisi uthe gunj gir-pad ke jo pahunche koi mushkil se bahut dur tari asar-e-sadma kabhi nashsha-e-tundi khud-sanji-e-haq-sirat-e-zail se bahut dur mashshatgi-e-shana bahut silsila-e-jumba tah-dari-e-sad-zulf-e-awail se bahut dur ek silsila-e-mauja-e-zanjir-e-shikan sa ghuste hue zindan se salasil se bahut dur ghaltida-o-pechida-o-ashufta si ek mauj sahil ko liye zad mein hai sahil se bahut dur sad-zawiya mehrab-e-taghayyur kam-o-afzun idrak ke bazu-e-hamail se bahut dur yun jaise ki har asr-e-rawan ke mutawazi mausam ki har ek shaq ke mumasil se bahut dur pinhan abhi kam-posh bhi mubham abhi har bar payabi-e-mizrab rag-e-dil se bahut dur lahut ki ek lahar su-e-karb-e-dil-e-khak laya koi jazba kisi mahfil se bahut dur aashob-e-qadah jasta su-e-gasht piyaada wamandagi-e-tishna-o-sar-joshi-e-baada