bahaaron mein tilism-e-gul-rukhan ka zikr karne do shamim-e-kakul-e-ambar-fishan ka zikr karne do wo jis se dur ho jae gham-e-jaanan gham-e-dauran usi daur-e-sharab-e-arghawan ka zikr karne do budhapa dur hai zohd-o-wara jis ka taqaza hai jawani mein to kuchh ishq-e-butan ka zikr karne do ye shoale kis ne barsae ye aatish kis ne bhadkai zamin pe rahne walo aasman ka zikr karne do tabahi tak to aa pahunche ba-faiz-e-maghfirat waiz khudara ab to mir-e-karwan ka zikr karne do