sach hai gham-e-firaq mein hum ro nahin sake wo bhi tamam raat magar so nahin sake be-faeda hai chahna asnam se wafa ye sang-dil kisi ke kabhi ho nahin sake patthar ke log hain jahan shishe ke baam-o-dar hum us zamin mein dard-e-wafa bo nahin sake sine mein ek dagh laga aur umr-bhar dhote rahe wo dagh magar dho nahin sake aadab-e-parda-dari-e-zabt-e-fughan na puchh tufan dil mein uthte rahe ro nahin sake ranginiyon ke ahd mein khushiyon ke daur mein chaha ghamon ko khona magar kho nahin sake taskhir-e-mahtab mukammal to ho gai daman mein us ke ek bhi pal so nahin sake ayyari-e-siyasat-e-ahbab dekhiye chaha kisi ke ho ke rahen ho nahin sake