bahaaron se khizan tak yunhi sair-e-gulistan kar ke rafu karte rahe hum jeb-o-dastan dhajjiyan kar ke milega kya tujhe sayyaad mujh ko be-zaban kar ke sukun-e-qalb milta hai mujhe aah-o-fughan kar ke chaman ko raushni di nazr-e-atish aashiyan kar ke kiya ye tajraba hum ne ghar apna raegan kar ke haqiqat mein karam tum ne kiya hai haq-shanason par har ek ko waqif-e-rasm-e-jabin-o-astan kar ke utha pae na hum lutf-e-bahaaran mausam-e-gul mein kahan gum ho gai parwaz qaid-e-ashiyan kar ke ab aisi zindagi se maut aa jati to behtar tha hui tazhik apni dastan-e-dil bayan kar ke agar tafsil se kahta to wo shayad samajh jate main ab pachhta raha hun ikhtisar-e-dastan kar ke bhatakte rahte yunhi aur na pate umr-bhar manzil bada ehsan kiya tum ne sharik-e-karwan kar ke samajh mein aa gai un ki khas-o-khashak ki azmat gai hain bijliyan aakhir tawaf-e-ashiyan kar ke zahe mashq-e-tasawwur hum unhen dekha hi karte hain chhupen chahe jahan wo parda-ha-e-darmiyan kar ke samundar phir hilore lega tahzib-o-tamaddun ka zara dekho to 'ajiz' shamil-e-urdu-zaban kar ke