bahana kar liya phir se haya ka

bahana kar liya phir se haya ka
karen kya aap ki zalim ada ka

ibaadat kar rahen hain wo ki yani
khuda bhi nam lete hain khuda ka

hamari kashtiyan hain baadbani
hamein karna padega kuchh hawa ka

sharik-e-jurm hai munsif agar to
hamein dar hi nahin koi saza ka

unhin ne maut phailai thi pahle
jinhen byopar karna tha dawa ka

bala hai wo bala han thik hai par
koi to tod hoga is bala ka

hamara hashr bhi sanjidgi se
bahana dhundhta hai ibtida ka

sukhnawar bewafa ho lazmi hai
talluq shairi se kya wafa ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close