yun tamashe ratjage ke ku-ba-ku hote rahe

yun tamashe ratjage ke ku-ba-ku hote rahe
sar pe suraj aan pahuncha aur hum sote rahe

shairi paighambari ka ek hissa thi magar
log us ko sirf shohrat ke liye dhote rahe

maut se aankhen milane kei saza mil kar rahi
zindagi bhar zindagi ke waste rote rahe

raushni kei kasht thi matlub hum se aur hum
tirgi ke shahar mein danishwari bote rahe

kash ibrat koi pakde ai janab-e-'abdi'
waqt jaisi chiz hum pate rahe khote rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close