bahar bhi ab andar jaisa sannata hai dariya ke us par bhi gahra sannata hai shor thame to shayad sadiyan bit chuki hain ab tak lekin sahma sahma sannata hai kis se bolun ye to ek sahra hai jahan par main hun ya phir gunga bahra sannata hai jaise ek tufan se pahle ki khamoshi aaj meri basti mein aisa sannata hai nai sahar ki chap na jaane kab ubhregi chaaron jaanib raat ka gahra sannata hai soch rahe ho socho lekin bol na padna dekh rahe ho shahr mein kitna sannata hai mahw-e-khwab hain sari dekhne wali aankhen jagne wala bas ek andha sannata hai darna hai to an-jaani aawaz se darna ye to 'anis' dekha-bhaala sannata hai