bahar damakti barf mein andar mahakti raat mein us ke badan ka phul hai jaise hawa ke hat mein khidki se chhante chand mein nazdik aatish-dan ke zulfon ka saya odh ke baithi hain aankhen ghat mein us ke labon se tut kar simab-e-mai girne laga gile gulabon se ude jugnu andheri raat mein ek nim raushan kunj ki jadugari simti hui shanon ke simin harf mein aankhon ki nili baat mein udta hua ek lafz sa honton ne aankhon se kaha tahrir mein aane laga bikhra hua jazbaat mein