jaane kyun hai zehn ghaalib ki main soya hua hun aaina-khana-e-aflak mein khoya hua hun hun musallas ya koi daera tajridi sa zehn-e-yazdan mein main tamsil sa goya hua hun naddiyan bhar gain labrez hain dariya sare hai ye barsat ki jal-thal ki main roya hua hun jaanta hun ki ye hasrat hi meri manzil hai shauq ki tishna zaminon mein jo boya hua hun dard ka kya hai mere chhed mujhe pyare hain main tamannaon ke kanton mein piroya hua hun chirti hai jo sada maut se sannate ko kya ye tu hai ya main apne hi se goya hua hun mere chehre ki darakhshani se mayus na ho sirf itna hai ki ashkon se main dhoya hua hun gasht-e-aflak ki hajat mujhe kyun kar hogi main khud apne hi khalaon mein samoya hua hun 'asim' ab ke jo main dubun to kuchh aise niklun jaise lafzon ke samundar mein bhigoya hua hun