bahar kabhi andar ki koi baat nahin ki darwaze se bhi ghar ki koi baat nahin ki malhuz rakha main ne un aankhon ki nami ko sahra mein samundar ki koi baat nahin ki haara to wo rota raha taqdir ka rona jita to muqaddar ki koi baat nahin ki us aankh ne patjhad ka koi zikr na chheda dil ne bhi gul-e-tar ki koi baat nahin ki ghar mein bhi raha ghar ke masail se gurezan daftar mein bhi daftar ki koi baat nahin ki khwabon ki kahani ne meri nind uda di phir takiya-o-chadar ki koi baat nahin ki ab ishq mein kuchh kaam nahin nama-baron ka so main ne kabutar ki koi baat nahin ki