bahaunga na main aansu na muskuraunga khamosh rah ke saliqe se gham manaunga karunga kaam wahi jo diya gaya hai mujhe mein khwab dekhunga aur khwab hi dikhaunga adhuri baat bhi puri samajhni hogi tumhein main kuchh bataunga aur kuchh nahin bataunga main aaj tak nahin mana hun teri duniya ko tu man jae to main us ko man jaunga isi sawal ne sone nahin diya shab bhar tu mujh se puchhega kya aur main kya bataunga teri kahani mein rakkhunga khud ko kuchh aise main dastan mein nai dastan banaunga ye maslahat hai meri buz-dili nahin 'taimur' jahan zaruri hua hausla dikhaunga