bahe hain ashk na ubhri hain siskiyan meri hawa sunati phiri hai kahaniyan meri meri udasi ka jab bhi unhen hua malum tumhaara puchhne aain saheliyan meri ye ghar ke log chale jaenge pahadon par tere khayal mein guzrengi chhuttiyan meri na koi peng padi hai na phul aae hain bahut udas hain kuchh din se tahniyan meri kisi lakir pe jhunjhla ke rone lagta hai bahut satati hain is ko hatheliyan meri hawa ka kya hai udaegi pahle khushbu ko aur us ke baad bikheregi pattiyan meri phir is ke baad achanak hi ro pada wo shakhs 'qamar' wo bujh raha tha paheliyan meri