na gul se hai gharaz tere na hai gulzar se matlab rakha chashm-e-nazar shabnam mein apne yar se matlab ye dil dam-e-nigah mein tark ke bas ja hi atka hai bar aawe kis tarah allah ab khun-khwar se matlab ba-juz haq ke nahin hai ghair se hargiz tawaqqo kuchh magar duniya ke logon mein mujhe hai pyar se matlab na samjha hum ko tu ne yar aisi jaan-fishani par bhala pawenge ai nadan kisi hushyar se matlab na 'chanda' ko tama jannat ki ne khauf-e-jahannam hai rahe hai do-jahan mein haidar-e-karrar se matlab