bahe sath ashk ke lakht-e-jigar tak na ki us ne meri jaanib nazar tak abas sayyaad ko hai bad-gumani nahin bazu mein apne ek par tak khabar aai mariz-e-dard-o-gham ki kahin pahunche khabar us be-khabar tak nazakat se lagi bal karne kya kya abhi gesu na pahunche the kamar tak jiye jate hain shakl-e-sham-e-sozan na kuchh baqi rahenge hum sahar tak agar main yaad hota to na aate magar bhule se aae mere ghar tak dam-e-girya thi ghaalib na-tawani pahunchte lakht-e-dil kya chashm-e-tar tak khuda jaane 'asar' ko kya hua hai raha karta hai chup do do pahar tak