bahr-e-hasti koi sarab nahin zindagi zindagi hai khwab nahin aah insan jis ki aankhon par apna anjam be-naqab nahin ek khurshid-rukh ki zulfon ka raat ke pas kuchh jawab nahin zindagi dard se hui mahrum mai-kada hai magar sharab nahin mutrib-e-waqt tere hathon mein kyon hai talwar aur rabab nahin aadmi aadmi ka raaziq hai nazm-e-alam magar kharab nahin hae 'altaf' wo hazin raaten jin ki qismat mein mahtab nahin