bahr-e-hasti mein sohbat-e-ahbab yun hai jaise baru-e-ab-e-habab gardish-e-asman mein hum kya hain par-e-kahe miyana-e-gardab baada-e-nab kya hai khun-e-jigar zardi-e-rang hai shab-e-mahtab jis ko raqs-o-surud kahte hain wo bhi hai ek hawa-e-khana-kharab umr kahte hain jis ko wo kya hai misl-e-tahrir mauj-e-naqsh-bar-ab jism kya ruh ki hai jaula-nigah ruh kya ek sawar-e-pa-ba-rikab husn aur ishq kya hain ye bhi hain khatfa-e-barq-o-qatra-e-simab zindagani-o-marg bhi kya hain ek misl-e-khayal-o-digar-e-khwab fursat-e-umr qatra-e-shabnam wasl-e-mahbub gauhar-e-nayab kyun na ishrat do-chand ho jo hai yar mah-chehra aur shab-e-mahtab sab kitabon ke khul gae mani jab se dekhi 'nazir' dil ki kitab