ishq ilzam bhi to hota hai ye bura kaam bhi to hota hai dosti kuchh mujhi ko tum se nahin ye maraz aam bhi to hota hai nahin taklif hi mohabbat mein us mein aaram bhi to hota hai wada karne mein phir tammul kya han tumhein kaam bhi to hota hai raat-din dard hi nahin rahta dil ko aaram bhi to hota hai nasha-e-husn aur phir kab tak baada-e-kham bhi to hota hai nam par tere kyun na aata pyar pyar ka nam bhi to hota hai kya tajjub jo ho visal mein wasl kaam mein kaam bhi to hota hai ai safi' aashiqi ki ye tarif aur anjam bhi to hota hai