bahr-e-irfan se to khush-fikr shanawar ubhre ahl-e-zar dub gae aur qalandar ubhre laiq-e-did hai fankar ke chehre ka jamal shakh-e-afkar se jab koi gul-e-tar ubhre manzilen un ke qadam chumne aaen aksar jin ki raftar se har-gam pe mahshar ubhre dil-nawazi ne teri aisa sahaara bakhsha sath-e-ehsas pe manzar pas-e-manzar ubhre zindagi mauj-e-hawadis se ulajhti hi rahi bahr-e-alam mein hum dub ke aksar ubhre rah-e-masdud pe ek nara-e-mastana 'ziya' taki is gumbad-e-be-dar se koi dar ubhre